A beautiful poem by Fahmida Riaz, a progressive Pakistani poet on the current situation in India. It was a must share
“Tum bilkul hum jaise nikle
tum bilkul hum jaisey nikley
ab tak kahaN chhupe the bhai
voh moorkhta, voh ghaamarpan
jis mein hum ne sadi ganwai
aakhir pahunchi dwaar tumhaarey
arre badhai bohot badhai
preyt dharam ka naach rahaa hai
qayam Hindu raaj karoge?
saarey ultey kaaj karogay
apna chaman daraaj karogey
tum bhee baithey karogey sochaa
poori hai waisi tayyari
kaun hai Hindu, kaun naheeN hai
tum bhi karogay fatwe jaari
hoga kathin yahaN bhi jeena
raatoN aa jayega paseena
jaisi taisi kata karegi
yahan bhi sabki saans ghutegi
kal dukh se socha karti thi
soch ke bohot hansi aaj aee,
tum bilkul hum jaise nikle
Hum do qaum nahin the bhai!
bhaar mein jaaye shiksha viksha
ab jaahilpan ke gun gaana.
aage gadha hai yeh mat dekho
wapas laao gaya zamana
bhasht karo tum aajayega
ulte paaon chalte jaana
dhyaan na mann mein dooja aaye
bas peeche hi nazar jamana
ek jaap saa kartey jao
vaaram vaar yahi dohrao
kitna veer mahaan tha Bharat
kaisa alishaan tha bharat
phir tum log pohonch jaogay
bas parlok pohonch jaaogay
hum toh hain pehle se wahan par
tum bhi samay nikalte rehna
ab jis nark mein jaao wahan se
chitthi vitthi daalte rehna"
No comments:
Post a Comment